Chorus:
Duniya ke saare bojh uthaaye saleeb ne
Taareekiyon mein noor dikhaaye saleeb ne
Duniya ke saare bojh uthaaye saleeb ne
Stanza 1:
Jab dukh aur gham se zindagi, mayoos ho gayi
Nagme hasi khushi ke sunaae saleeb ne
Taareekiyon …
Stanza 2:
Jab tap rahi thi zindagi, paapon ki dhoop se
Paapon ki dhoop se
Raahat ke thande chashme bahaae saleeb ne
Taareekiyon …
Stanza 3:
Dekho andhere mit gaye, roshan hai raaste
Sabke liye chiraag jalaae saleeb ne
Taareekiyon …
Stanza 4:
Ab aa rahi hai saaf nazar zindagi mujhe
Nazar zindagi mujhe
Saare gunaah ke daag mitaae saleeb ne
Taareekiyon …
मुखड़ा:
दुनिया के सारे बोझ उठाए सलीब ने
तारीकियों में नूर दिखाए सलीब ने
दुनिया के सारे बोझ उठाए सलीब ने
अंतरा १:
जब दुख और ग़म से ज़िंदगी, मायूस हो गई
नगमे हसी खुशी के सुनाए सलीब ने
तारीकियों …
अंतरा २:
जब तप रही थी ज़िंदगी, पापों की धूप से
पापों की धूप से
राहत के ठंडे चश्मे बहाए सलीब ने
तारीकियों …
अंतरा ३:
देखो अंधेरे मिट गए, रोशन है रास्ते
सबके लिए चिराग जलाए सलीब ने
तारीकियों …
अंतरा ४:
अब आ रही है साफ, नज़र ज़िंदगी मुझे
नज़र ज़िंदगी मुझे
सारे गुनाह के दाग मिटाए सलीब ने
तारीकियों …